SBI Me Branch-Account Transfer Kaise Kare



Jab koi wyakti ek jagah se dusri jagah sift hota hai, tab usse apna bank transfer karna jaruri ho jata hai.
Aise me SBI apne Customers ko yah suvidha deti hai ki wah jab chahe apni ikcha ke anusar apna Bank Account transfer kar sakta hai.

Ye bhi jane-



Chaliye Jante hai ki 
SBI me apna account kaise transfer karte hai.

SBI me apna account transfer karne ke liye aapko kin-kin chijon ki jarurat padti hai.

1. Passbook /Cheque
2. Account Transfer Application
3. Account Transfer  Request form (CIF ke liye )
4.Aapka Address Proof
5. Aapke paas PAN Card hai ,to wo bhi le ke jaye.

Ye  Application form aapko bank se mil jayegi.




Aap niche ke link se bhi isse download kar sakte hai.

Account Transfer Request Form

Bank Transfer ke liye Application Kaise Likhe.


sbi account transfer kaise kare hindi me
application 
.




SBI ACCOUNT TRANSFER KARNE KI PROCESS

*Aapka khata jaha par hai, yaa aap jis jagah par apna account transfer karwana chahte hai.waha se aap apna account transfer karwa sakte hai.



*Waha pe jakar aapko jaruri documents dene honge , jisse maine bataya hai.

*Yadi aap Cheque use karte hai, to uss se bhi aap account transfer karwa sakte hai.

*Account transfer karwane ke liye aapse 100 rupees charge liya jayega.

*Aapka account transfer  7 dino ke ander ho jayegi.

Online Branch /Account Transfer Kare


online branch account transfer kare.


  • Sabse pehle aap onlinesbi me jakar username aur password dale.
  • Phir E-Services Option ko chune - Jo ki upar menu se mil jayegi.
  • Ab Transfer of Saving Account Ke Upar Click kar dijiye.
  • Ab jo hai- Ek page open hogi , jisme aapka apna account details dena hai.
  • Apna account no select karna hai, , branch code dalna hai.Jis Branch me aapko apna account transfer karwana hai.
  •  (Branch code harek branch ka alag hota hai aap use bagal me diye option se pata kar sakte hai...)
  • Ab aapko Submit ke upar click karna hai.
  • Ab ek OTP jayega aapke registered mobile no par. Usko aapko dalna hai.
  • Aur bas ho gaya aapka account transfer.


Note :- Jab bhi aap account transfer kar rahe hai , to dhyan de ki account no nahi badalta , sirf aapka IFSC code badalta hai.
Online account transfer karne me aapse koi paisa nahi liya jayega. aur aapko lagbhag 7 dino tak intejar karna hoga. 7 dino ke baad aap phir se login karke dekh le , transfer hua yaa nahi.
Yadi transfer ho gaya hoga , to aapke Branch Name bhi change ho gaya hoga..



Enjoy..............

Ye bhi jane:-

*SBI All Application in Hindi

*SBI Account band kaise kare

*Sbi Me Naya Account Kaise Khole


*Indriyon Ko Control Kaise Kare- Behtarin

*Depression Ko Door Kaise Kare- Behtarin Tarika

Share this

16 टिप्‍पणियां

  1. Jo branch me transfer karwana chahte hai vo app... Nahi jama le rage hai vo kahte hai khali app.. Like ke speed post kar do.

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Amit ji,aap jis branch me transfer karwana chahte hai, waha se account transfer ho jayega , application,passbook ya check lagega..Aur iske baad bhi bank wala nakhra kar raha hai to aap uska complain kar dijiye...SBI help ka number hai 18004253800.Yah Tollfree number hai.

      हटाएं
  2. Sir mera account ujjain M.p. me hai lekin mai ab u.p. fatehpur ke ek town bindki me rahna laga hu Mai apni home branch nhi ja pa raha hu mai chahta hu mera account yahi se transfer ho jaye bindki branch me sir bataye kaise karu

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Aapko apna home branch jane ki koi jaroorat nahi hai.Aapka account Fatehpur se hi transfer ho jayega.
      Account transfer karwane ke liye 5 chijon ki jaroorat padti hai, jisse maine upper post me bataye hai. Aap usse lekar bank jaye. Aapka account transfer 7 dino me ho jayega.

      हटाएं
  3. Mera account transpar ho gaya hai lekin bank wale bol rahe hai ki apka fic no nahi transper hua hai kya kare

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. SBI me fic code karke kuch nahi hota hai. IFSC code hota hai, jo har branch ka alag hota hai.. Yadi aapka account transfer ho gaya hai iska matlab ifsc code bhi transfer ho gaya hai.. Iske liye aapko koi chinta ki baat nahi hai..

      हटाएं
  4. sr mujhe mere account se apne loan account main money transfr krne ke liye application chiye pllz

    जवाब देंहटाएं
  5. Dear sir.
    Mera SBI me delhi ka account hai.mai ise apne gow me online transfar karwana chahta hu.
    Kya online transfar ho sakta h.
    Please guide me.

    जवाब देंहटाएं
  6. मुझे अपने education loan से फीस डिपाजिट के लिए एप्लीकेशन लिखनी हे इंग्लिश में में कैसे लिखूं

    जवाब देंहटाएं
  7. Sir mane apna accounts transfer kiya h oneline sbi se kya bo confirmed transfer ho jata h ki koi truty ati h bato sir

    जवाब देंहटाएं
  8. Transfer Confirm ho jata hai, Iske liye aapko 7 dino tak intejar karna hoga...Uske baad jab aap phir se login karenge to waha se aap dekh payenge ki transfer ho gaya hai....

    जवाब देंहटाएं
  9. Sir mera name rohit h aur mene district k College m admission le liye h to scholarship k liyea wha ki branch ka account chaiyea to m aapna account kaise transfer kar saktta hu
    Meri age aabhi 17 year h
    Aur mobile no. Bhi link nhi h

    जवाब देंहटाएं


EmoticonEmoticon