Ek Domain Ko Dusre Domain Name Me Forwarding Kaise Kare


Domain forwarding aksar log tab karte hai, jab unka domain name aacha nahi ho, yaa phir unke domain name me koi gadbadi aa jaye. Mere sath bhi aisa hua tha , jab mera ek domain name me kharabi aa gayi thi, Wo domain name thi www.anekroop.co.in jisko maine www.anekroop.com me forwarding kiya tha.

Aur ab me aapko apna experience share karna chahta hoon ki kaise maine apna domain name forwarding kiya aur isme mujhe kitni dikkaton ka samna karna pada tha.

Mujhe kariban 2 hafton ka samay laga tha.
Lakin aaj me jo aapko tarika batane jaa raha hoon , usse aapka domain 48 hour ke andar forwarding ho jayega, aur aapko meri tarah koi pareshani ka samna nahi karna padega.

domain forwarding
domain forwarding
.

DOMAIN NAME FORWARDING KARE

Step:-1 Sabse pehle aap uss website me jaye , jahan se aapne apna domain name kharida hai.
Main aapko godaddy ke through samjhauga kyunki mera domain Godaddy me hai.
domain name forwarding
.


Step:-2 Ab aap wahan se sign in kar le .

domain name forwarding.


Step:- 3 Ab manage my domains ke upar click kare.
Ab ek page khulega. Yahan se aap apne domain ko select kar le , jisse aapko forwarding karna hai.
domain name forwarding.


Step:-4 Ab jo page khulega, Isme aapko Settings me jana hai.
domain name forwarding.


Step:-5 kucch niche jane ka baad aapko forwarding ka option dikhayi dega, Isme aap Manage ke upar click kare.



domain name forwarding.


Step:-6 Manage pe click karne ke baad ek box open hogi, jisme aapko
sabse pehle Domain ke upar click karna hai , phir Add one now ke upar.
domain name forwarding.


Step:-7 Ab phir ek box open hogi jisme aapko apne jarurat ke anusar details dena hai.
Isme aapko 4 option dikhayi dega , 1. me aapko domain ka naam likhna hai, jispar aap forwarding karna chahte hai. www ke sath.

2. me Temporary ya Permanent apne anusar select kar le. Yadi aap kuch samay ke liye forwarding karna chahte hai tab Temporary , Aur yadi aap hamesha ke liye forwarding karna chahte hai tab Permanent ke upar click kar de.

3. me forward only, aur with masking ka option hai. Forward only -Yadi koi purane domain me click karta hai tab uska page ke sath domain name bhi forward ho jata hai. Aur Masking me sirf page forward hota hai, domain name wahi rehta hai.


4. Ab inn sabhi chijon ko apne anusar bharne ke baad Add ke upar click kar de.
Yahan se aapka Setting me kaam complete ho gaya hai, Yani   aapne half process pura kal liya hai.

Janiye Godaddy ke domain ko Blogger se kaise jodte hai


OTHER HALF PROCESS - DOMAIN FORWARDING KARE.
domain name forwarding.


Step:-1 Ab aapko DNS Zone File me jana hai, aur phir kucch details ko badalna hai.

domain name forwarding.


Step:-2 Sabse upar aapko 4 record dikhayi dega, usme se aapko niche ka 3 record ko delete karna hai.
Jo hai:- 216.239.34.21
             216.239.36.21
             216.239.38.21
Ye ek jaisa record hai, aur jo bacha hua record hoga ,wah in sab se alag hoga.

domain name forwarding.


Step:-3 Ab aapko CName me jana hai, Yahan par aapko www ke samne @ ko select karna hai. Yahan ghs.google.com likha hua ho sakta hai.

Ab aapka pura process complete ho gaya hai, Yahan se aapka domain name 48 hour ke ander forward ho jayega.

Enjoy.....
Domain ki aur adhik jankari ke liye hamare website ko e-mail ke through niche diye hue box se subscribe kare.

Ye bhi jane:-
*Data Entry Job se paise kamaye bina investment ke

*Powered by Blogger remove kare 100% success

*Kaladhan ko wapas kaise laye

*PM Garib Kalyan Yojana in Hindi


Share this

10 टिप्‍पणियां

  1. Hi sir नमस्कार मै ये जानना चाहता हु की जब हम domain transfer करते है तो क्या ip address भी change करना पड़ता है , यदि ip address change करना पड़ता है तो उसका प्रोसेस क्या sir प्लीज help me , मै बहुत बड़े problems में फस गया हु , मेरा domain name server Godaddy का है .

    जवाब देंहटाएं
  2. Namaskar ji,I.p address nahi change karna padta hai..Sirf kuch settings ko change karni padti hai jiski jankari upar di gayi hai...

    जवाब देंहटाएं
  3. Hi नमस्कार sir आपका यह पोस्ट मुझे बहोत अच्छा लगा जिसके बारे में मै बता नही सकता ये कितना helpful पोस्ट था मेरे लिए मै इसके पहले डोमेन redirect करता था तो मुझे उस डोमेन को होस्ट करना पड़ता था लेकिन आपके इस पोस्ट बहोत ही आसान हो गया .
    १.sir मै जानना चाहता हु क्या blogspot का जो subdomain होता है क्या उससे भी मै अपने डोमेन को redirect कर सकता हु

    जवाब देंहटाएं
  4. Forward kiya to dns hide हो gaya or old domin new domin पर forward bhi nhi huya 3 days ho gaye lekin अभी भी मेरा ब्लॉग old domin se ही ओपन होता है forwarding का कोई और तरीका हो तो बताओ

    जवाब देंहटाएं
  5. Yahi process hai....dns ache se check kare,,,,sabhi record delete naa kare sirf 3 jo bataya gaya hai....

    जवाब देंहटाएं
  6. Agar mai apni website purane se nay domain p karlu to keya pichla domain corrupt ho jayega

    जवाब देंहटाएं
  7. Agar mai apni website purane se nay domain p karlu to keya pichla domain corrupt ho jayega

    जवाब देंहटाएं
  8. Agar mai apni website purane se nay domain p karlu to keya pichla domain corrupt ho jayega

    जवाब देंहटाएं
  9. मेरे ब्लॉग का डोमेन एक्सपायर होने वाला है और मैं वह डोमेन रखना भी नहीं चाहता हूं क्या डोमेन फॉरवर्डिंग से मैं उस पुराने डोमिन को नए डोमेन में बदल सकता हूं और मेरे पुराने डोमिन पर जो कि एक्सपायर होने वाला है उस पर ऐडसेंस का अप्रूवल है अगर मैं डोमेन फॉरवर्डिंग करता हूं तो क्या मेरे एडसेंस का प्रोफाइल बंद हो जाएगा और यदि मैं डोमेन फॉरवर्डिंग करता हूं जब यह डोमेन एक्सपायर होगा तो क्या मेरा नया डोमेन कांटी में चलता रहेगा और उस पर ऐडसेंस का अप्रूवल बना रहेगा क्या?

    जवाब देंहटाएं


EmoticonEmoticon