YouTube Single Channel-Multiple Channel Kaise Banaye


youtube me 2 account kaise banaye 1 hi email se
YouTube me channel banaye
.



YouTube me Channel banane se pehle me aapko YouTube Channel ke bare me kucch batana chahta hoon , jisse aap samajh jayenge ki iss Channel ka kya use hai aur isse hm kaise istemal karte hai.

Hm sab jante hai ki T.V main jaise aaj hajaron channel hai, Jisme log apne program ko telecast karte hai. Waise hi YouTube main bhi channel bante hai, Jisse ki aap apne video ko upload kar sakte hai aur sari duniya ko dikha sakte hai.

Lakin T.V aur YouTube Channel main bohot antar hai, Jahan T.V Channel Satellite ke dwara wahi YouTube Channel online Internet (Telecom Company)  ke dwara kaam karti hai. YouTube main aapko apna video upload karne ke liye Internet ki jarurat padti hai, bina internet ke aap kucch bhi nahi kar sakte ,wahi dusri taraf t.v channels ko internet ki jarurat nahi padti.

YouTube Channel main aap apna koi bhi brand name daal sakte hai, Jaise T.V me hota hai, star plus, sony , ten sport etc. aur aap apne channel ka advertise bhi kar sakte hai, jisse ki aapka Channel famous ho jaye aur aapke video ko adhik log dekh paye.

To chaliye ab hm jante hai ki

YouTube Me Single Channel Kaise Banate hai.

Youtube me channel banana bohot hi aasan hai. Iske liye aapko sirf 1 Google Account ki jarurat padti hai. Yadi aapke paas Google account nahi hai to aap yahan se bana sakte hai.
Create Google Account



Step-1 Google main account banane ke baad aap YouTube par jaye.
youtube channel creator.


Step-2 Youtube me jane ke baad aapko ye Sign in ka symbol dikhayi dega. Jo ki right side me rehta hai.

Sign in pe click karne ke baad , 1 page open hogi .



Jisme aapko apna Google account ka E-mail address aur password dalna hai. Phir aapka sign in process complete ho jayega.

youtube me channel banaye.



Step-3 Ab jo Page khulega isme aapko My Channe pe jana hai , Jisme aapko apna channel ka naam dena hai jiska jikra maine niche ke image pe  kiya hai.

youtube me channel banaye.




Ab aapka Youtube channel bankar taiyar hai aap apne video ko upload kar sakte hai , aur Apne youtube Channel se  sari duniya main famous ho sakte hai.

YOUTUBE ME MULTIPLE CHANNEL KAISE BANAYE


Yadi aap Youtube main 1 se adhik channel banana chahte hai aur wo bhi 1 hi e-mail i.d se , to ye aur bhi aasan hai.

create multiple account in youtube.


Step:-1 Sabse pehle aap apne account ke image par click kare, aur phir Setting ke upar click kare.

youtube me 2 account banaye 1 email i.d se.


Step:- 2 Ab ek box open hogi jisme aapko Create new channel ka option dikhega, Naya channel banane ke liye aap iske upar click kar dijiye.

how to create double channel in youtube.


Step:-3 Ab aap jo dusra account bana rahe hai, uska aapko naam dena hai, Jo ki aapka brand name hoga.

To ye thi single channel aur multiple youtube channel banane ki process, Ab aap bhi apne youtube channel banaye aur Enjoy...kare.....

Janiye:-  ➤YouTube se lakhon rupaye kamane ka aasan tarika
              ➤ You tube video ko Monetise kaise kare

Ye bhi jane:-

*Blogging kya hai, Blogging se paisa kamaye

*Data Entry Job se paisa kamaye bina investment ke

*Make In India in Hindi

*Gharelu Chijon se bimariyo ko door kare



Share this


EmoticonEmoticon