RBI Online Claim Prize- Sawdhan Ho Jaiye -Bank Chor


Doston yadi aapne E-mail i.d banayi hai to sawdhan ho jaiye, Aapke e-mail i.d me farzi log aapse paise dene ke badle me bank account details , personal details maang rahe hai, jisse we aapke bank account se paise nikal sake .

AAPKA ATM NO KYA HAI
BANK CHOR


Mere paas jo E-mail aayi hai usse me aapko dikhata hoon jisse aap jaroor padhe. Isme likha hai ki RBI ne lottery karwayi , aur wah aapko paise degi. Aur ye koi choti moti rakam nahi , 3Crore 60 lakh hai. To ye aapko itni moti rakam dikha kar thagna chah rahe hai, taki aap isse apna bank details de sake.

mobile se atm no puchne wale
mobile se atm no puchne wale
.


Iske Image me text  Ko dhyan se padhe....

bank account ki jankari mangne wale
bank account ki jankari mangne wale
.




Aap iske pure image ko Google Drive se achi tarah se dekh sakte hain uske liye niche ke link ko click kare
.
Fake E-mail Jo aapse Bank Details Puchti Hai

To ye log RBI ka naam le ke aapko bewakof bana sakti hai, isiliye aap inke jhanse me mat aaiyega, aur inko apna personal information mat bataiyega.


Aise isiliye , Kyunki RBI aisi lottery kabhi nahi karati.
RBI ka kaam hai sabhi banko ki dekh rekh karna , Naa ki paise dena . Issiliye aap inke jhanse me mat aaiye.

Kayi -kayi baar log aapse phone karke bhi aapse jankari lena chahenge , ki aapka atm no. kitna hai, aapka bank account no . kya hai to aap usse apna detail kabhi nahi bataiyega.

Wo kehenge ki hm aapke bank se bol rahe hai aur kisi jarurat ke liye aapka atm ya account number chahiye, ya phir koi aur baat karke aapko fansne ki kosish karenge.Isiliye aap satark rahiyega.

Aise log Internet ke dwara aapke paise udda sakte hai, Apna personal detail khaskar Aadhar Card No. Pan Card No. aur Account No. kisi ko mat bataiyega. Kyunki log internet ka galat istemaal karne lage hai aur logon ko bewakoof banane ke liye taiyar hain.



Iska parinam aise logon ko jaroor milna chahiye, aise logon ke liye bhi karrawayi honi chahiye,
Yadi koi aapse E-mail dwara ya Phone dwara aisi jankari mangta hai to aap uska complain Police ko kar dijiyega. Aise logon ko sabak jaroor milna chahiye.

Yadi aapko ye jankari achi lagi to aap isse jaroor dusre logon ko bataye aur share kare aur yadi koi sawal hai to mujhe niche comment karke jaroor bataye, mujhe aapki madad karne me khushi hogi..

Ye bhi padhe:-



Share this

2 टिप्‍पणियां

  1. I want to show my thanks to the writer just for rescuing me from this matter. After exploring through the online world and meeting basics which were not powerful, I figured my entire life was done. Living without the approaches to the issues you have fixed all through your report is a critical case, and the ones that would have adversely affected my career if I had not discovered your website. Your good natural talent and kindness in playing with a lot of things was tremendous. I am not sure what I would've done if I hadn't encountered such a point like this. It’s possible to at this point look ahead to my future. Thanks so much for your reliable and amazing guide. I will not think twice to recommend the sites to anyone who would need support on this issue.

    जवाब देंहटाएं


EmoticonEmoticon