Mrityu Ke Baad Aatma Kaha Jati Hai- Life After Death


Namaskar doston aapka AnekRoop me swagat hai. Aaj hm baat karenge ki mrityu ke baad aatma kahan jati hai ? Kya karti hai ?

Srimad Bhagwad Geeta me wah sari jankari hai jo aaj logon ko jarurat hai. Maine apne pichle post me aatma ke rahasyon ke bare me bataya tha. Aur aaj iss post me hm baat karenge ki aatma mrityu ke baad kahan jati hai.

Uske liye aap iss post ko aanta tak padhe.मृत्यु के बाद आत्मा कहाँ जाती है ?

mrityu
mrityu





Manushya ko ek na ek din marna hai ,yah baat to satya hai.Lakin uski mrityu kaise hoti hai yah baat gaur karne ki hai.

Jaise kisi ki mrityu accident se hoti hai, kisi ki cancer se hoti hai aur koi budhapa hone par mrityu ko prapt hota hai.

To yahan par 2 case hai.

1. Jo apne samay se pehle hi mar jata hai.
2. Jo apni puri zindagi ji kar wriddha awastha me marte hai.

To hm baat karte hai pehle case ki .Yani
Jiski Mrityu samay se pehle hoti hai.

Jab log kam umra me marte hai, Jawani me marte hai tab unki aatma sharir chorne ke baad bhatakti hai.

Haan doston, yah baat satya hai. Aisa isliye hota hai kyonki unko jo samay diya gaya tha, jine ke liye ,to wah apna jeevan pura nahi ji pata aur kisi karan wash sharir chor deta hai.

Isse akale mrityu kaha jata hai. Yani jiski mrityu kaal ke wiparit huyi yaa samay ke wiparit huyi.

To jiski akaale mrityu hoti hai- to uski aatma bhatakti hai aur apna pura samay hone tak bhatakti hai. Aur jab unka pura samay ho jata hai, tab unko naya janm mil jata hai.

Ab jo me batane jaa raha hoon wah aur bhi dilchasp lagegi janne me.
Ki Akaale mrityu bhi 2 prakar ke hote hai.

i). Jisne khudkhusi ki aur swayam se mrityu ko prapt hua ho.
ii). Jiski mrityu kam umra me to huyi lakin khudkhusi se nahi mara.

To chaliye hm pehle jankari ki taraf badhte hai ki
Khudkhusi Karne Par Aatma Ka Kya Parinam Hota Hai?

To jo khudkhusi karte hai, wah bohot bada paap karte hai. Halanki khudkhusi karne ke piche koi na koi karan hota hai. Lakin wah khudkhusi karke prakriti ke niyam ko todta hai.Kaal ke niyam ko todta hai.Issiliye usse utna hi bada saja milta hai.

Khudkhusi karne wali aatma tadapti hai,usse dusra janm aasani se nahi milta ,usse shuksham sharir milta hai,jisse wah dusron par prawesh bhi kar sakti hai aur dusron ko apna rona ro kar batati hai.

Aisa kayi baar dekha gaya hai ki jo khudkhusi karte hai wah dusre shariron ka aadhar lete hai aur apna haal sunate hai.

Shuksham sharir ka matlab hai, ki unko sharir to milta hai lakin wah uss sharir se kuch kar nahi sakte .
Unhe khane ki ikcha to hoti hai,par wah kha nahi sakte . Sukh bhogne ki ikcha to hoti hai ,lakin we  sukh bhog nahi sakte.

Aur tab aisi aatmaye apni ikcha mitane ke liye dusre shariron me prawesh karti hai aur kehti hai- Main kali hoon ,main durga hoon. ityadi devi -devtaon ke naam leti hai aur aapse bali aadi chadhane ko kehti hai.

Yani aisi aatmaye aur bhi paapi ban jati hai. Aur bohot log aisi aatmaon ke chakkar me aa jate hai, aur usse pujna suru kar dete hain.

To main aapse namra nivedan ke sath kehta hoon, ki aap aise devi- devtaon ke chakkar me naa pade. Ye devi -devtayen nahi balki aisi aatmaye hain jo aakale mrityu ko payi hai aur apni ikcha purti karne ke liye aapse aisa kehti hai.

*Lakshya Ko Pura Karne Ka Aasan Tarika

*Generation Gap-Wicharon Me Bhari Antar

Ab baat karte hai.
ii) Jiski mrityu kam umra me huyi lakin swayam se sharir nahi chora.

Jaise koi cancer se mara , dusre bimari se mara, accident se mara ityadi.

To aisi mrityu ko kaal ka bulawa kaha jaa sakta hai. Aise mrityu ko unke papon ka phal bhi kaha jaa sakta hai.

Lakin phir bhi apna pura samay pura nahi jine par aakale mrityu hi kaha jata hai.

Aur aisi mrityu hone par aatmaon ko sharir chorne ke baad taklif to nahi hoti lakin unhe intejaar karna padta hai aur unka samay pura hone par unko naya sharir mil jata hai.

Jane :- Aatma Ko Sharir Lena Hi Padta Hai

Aisi aatmaye sirf kuch samay ke liye hi bhatakti hai aur phir unhe naya sharir mil jata hai.
Yah samay utna hi hota hai jitna samay ek stri ko garv taiyar karne me lagte hai.

Yani jo accident ityadi se marte hai tab unka garv taiyar nahi hua rehta hai aur wah tab tak bhatakta hai jab tak uska garv naa taiyar ho jaye.


2. Ab baat karte hai apne last topic ke upar.ki
Jo apne puri jindagi jikar wriddha awastha me marte hai.

To jiski mrityu wriddha awastha me hoti hai to wah sabse achi mrityu mani jati hai.
Aisa isliye ki unhone apna pura zindagi jiya aur apne samay aane par mara yani mrityu ko prapt hua.
Usne prakriti ke niyamo ko nahi toda aur naa hi kaal ke niyamo ko toda.

Aisi mrityu hone par aatma ko agla janm turant mil jata hai. Usse 1 second bhi nahi lagte aur unka agla janm ho jata hai.

Kyunki unka garv pehle se taiyar hota hai aur mrityu ke baad aatma turant  garv me prawesh kar jati hai.
Issiliye jab koi wriddha sharir to tyagta hai to log khushi bhi manate hai, aur kahin -kahin patakhe bhi jalate hai.

To ye thi jankari ki mrityu ke baad aatma kahan jati hai aur aatma ka kya parinam hota hai.

To mujhe ummid hai ki aapko yah jankari jaroor pasand aayi hogi.
Yadi aapka koi sawal ya koi sujhaw hai to hame niche commen karke jaroor bataye.
Aur hamare iss website ko niche se E-mail ke dwara free me subscribe kar le doston .

 Dhanyawad.



Ye bhi jane:-
*Aatma se judi adbhut 5 rahasyo ke bare me

*Depression in Hindi- Sokh Karna

*Buddhi Kaise Badhaye- Dimag Tej Kare

*Ghar ke logon ko khush kaise kare


Share this


EmoticonEmoticon