Mobile App Se Music Banaye Tune Kare
INTERNETYadi aap Music ke field me hai, ya music ko pasand karte hai. To aaj me aapko aisi jankari dene jaa raha hoon ,jo aapke liye bahut hi faydefand sabit hoga.
Yadi aapko Music banane ka shok hai aur aapke paas instruments kharidne ke paise nahi hai, ya aap instruments ke bima music banana chahte hai to aapko ye post jarur padhni chahiye.
ye bhi jane:-
* mobile se deleted no. ki recovery kaise kare
* Mobile battery charge karne ka sahi tarika
![]() |
mobile app se music banaye anekroop.com |
MOBILE APP SE FREE MUSIC BANAYE
Music Instruments ke inn tuner ko bazar se kharide ke bajay, aap inke Apps apne Smartphone me rakh sakte hai. App ke roop me ye tuner waise hi kaam karte hai, jaise bajaron me milne wale mehnge tuner. Ye instruments ko satik scale par tune karne ki kshamata rakhte hai.
TUNER-G-STRING : Guitar tune karne wale ek sadharan se tuner ki kimat ,bazar me karib 500 -1500 rupaye hai. Jabki Internet par aise Tuner Smartphone me muft me hi download kar sakte hai.
Google Play Store par TUNER-G-STRING naam ka ek behtarin App Android user ke liye free me diya gaya hai. Aap isse download karne ke baad kisi bhi Guitar ko aasani se tune kar sakte hai.
Drum Tuning Calculator : Yadi aap Drum Bajane ke sokin hai, to aapke liye Drum Tune Calculator App Sabse aacha hai. Iski madad se aap kisi bhi drum set ki chutkiyon me tuning kar sakte hai.
Iski ek aur khas baat yah hai ki , isse Tablee aur Congo. dono ko tune kiya jaa sakta hai. Bazar me Drum sit ki kimat lagbhag 2000 rupaye hai. Lakin aap isse Google Play Store se bilkul muft me download kar sakte hai.
SWAR-METER: Yadi aap Classical Singing ke saukin hai, to ye App sirf aapke liye hi bani hai. Isse aap Sargam, Alankar, Swar aadi ka practise bahut hi aasani se kar sakte hai. Isse practise karne se voice scale bhi sudhara jaa sakta hai.Aap isse Google Play Store me jakar free me download kar sakte hai.
Enjoy.......
ye bhi jane:-
*balon ko jhadne se kaise roke
*website free me kaise banaye
*Make In India Hindi me
*tulsi patta ke fayde