Monetise YouTube Video-Set up Adsense Account Hindi


Jaise ki maine apne pichle post main bataya tha ki YouTube se paise kaise kamate hai, aur aaj main
aapko bataunga ki youtube video ko monetise kaise karte hai, Jisse ki aap apne video ko youtube main upload karke paise kama sakte hai.


how to monetise youtube video in hindi.
Youtube monetisation






Youtube video ko monetise karna bohot hi aasan hai, iske liye aapko sirf Google Account ki jarurat padti hai.

Chaliye ab jante hai
 YouTube video ko Monetise kaise karte hai.

you tube video ko monetise kare.



1. Sabse pehle Aapko youtube me jaa ke sign in karna hai .



youtube video ko monetise karne ka tarika

.


how to monetise youtube video in hindi.


2. My channel me jaa ke Channel banana hai, Yadi aapka channel pehle se bana hua hai.
To phir aapko  My channel ke baad Video Manager main jana hoga.

.


how to enable monetisation.




Ab phir left side se Channel me jane ke baad aapko Monetisation ka option dikhayi dega. Aap wahan se Monetisation ko enable kar de.

youtube video se paisa kaise banaye.




Ab aapka Monetisation ka process suru ho gaya hai. Ab aap  Get started   main click kar de.

process to monetise you tube video.


Ab aap inn sabhi chijon ko dhyan se padhe aur phir tick karke I accept ke upar click kar de.

.

Ab aapka monetisation ka process pura ho gaya hai, Ab aapko Adsense main account banana hoga.
Uske liye aap Set up Adsense account par click kar de.

.


Yahan par aapko 2 option diya hua hai, Yadi aapke paas Google account hai to aap sign in ke upar click kare aur yadi nahi hai to Create account ke upar click kare.

Main samajhta hoon ki sabhi ke paas Google account honge issiliye main Sign in ke baad ka process batata hoon.

apply for adsense account.


Ab aap iss Adsense account ke Policy ko dhyan se padh lijiye aur yadi aap iske policy se sehmat hai to phir I Agree ke upar click kar dijiye.

adsense account process.


 Ab yahan par aapko 1 application diya jayega, jisme aapko apna Address , Phone No aur E-mail address bharna hai. Aur aap Google ke kis offers ke bare main mail chahte hai usko Yes or No ke option ke dwara chayan kar sakte hai.

Sabhi jankari ko bharne ke baad ab aap Submit my application ke upar click kar dijiye. Ab aapka Adsense account ban ke taiyar ho gaya hai.
complete adsense account.

Bas ab aapke G-mail address main 1 confirmation mail jayega jiske baad aap jab bhi apna video you tube par upload karenge to wahan par aapko Monetisation ka option diya hua hoga. Aur aap usko enable karke apne video se paise kama payenge.


Enjoy....
*Youtube video se lakhon rupaye kamane ka tarika

*13 Types of online job without investment

*PM Kaushal Vikas Yojana in hindi

*Sharab ka nasha churaye -Rajiv dixit

Share this


EmoticonEmoticon