Indriyon Ko Control Kare-काम ,दृस्टि,भोजन कण्ट्रोल करे


Namaskar doston aapka www.anekroop.com me swagat hai. Aaj hm baat karenge ki apne indriyon ko hm kaise control kar sakte hai.

Iss post ko aant tak padhe aur aap sari jankari jan jayenge jo bhagwat gita me indriyon ko wash me karne ke liye bataya gaya hai.

2/14- मात्रास्पर्शाः तु कौन्तेय शीतोष्णसुखदुःखदा। 
आगमपायिनः अनित्याः तान तितिक्षस्व भारत।।

अर्थ :- है कुंती माता के पुत्र ! इन्द्रियों के विषय तो सर्दी -गर्मी ,सुख -दुःख  देने वाले हैं ,आने और जाने वाले हैं ,और नित्य नहीं रहते हैं। है भारतवंशी अर्जुन ,उनको तु सहन कर।

indriyon ko control kare
indriyon ko control kare
.


इन्द्रियों को कैसे कंट्रोल करे ?काम विकार ,दृस्टि ,भोजन कण्ट्रोल करे 

Ab chaliye iss shloke ko wistar se samajhte hai. Yahan par Bhagwan Arjun se keh rahe hai ki hai Arjun tu apne indriyon ko sahan kar.

Aapko pata hoga ki SrimadBhagwat Geeta Bhagwan ne sirf Arjun ke liye nahi sunayi , Yah gyan to sare manawjati ke kalyan ke liye sunayi gayi. Issiliye Geeta ke shlokon ka arth aaj bhi aapke liye lagu hoti hai. Issiliye aap isse dhyan se padhiyega.

Yahan par Bhagwan bata rahe hai , yadi aap apni lakshya ki prapti karna chahte hai. jeevan me kuch banna chahte hai, to indriyon ke wisay ko sahan kar.

काम वासना 

Yah indriyon ke wisay jaise Kaam Wasna , Jo aapka sabse bada shatru hai. Kaam ke liye kaha jata hai, Kaam jite jagatjeet . Yani jisne kaam ko jeet liya , to wah saari duniya ko jeet sakta hai. To phir aapka lakshya kya bada chij hai.

दृस्टि

Phir uske baad aata hai Dristi. Dristi dushre number ka aapka sabse bada shatru hai. Dristi ke liye kaha jata hai, jaisi dristi waisi shristi. Yani yadi aapka niyantran aapke dristi ke upar nahi hai, aapke aankhon ke upar nahi hai, to aapki shristi yani aapki zindagi ka bhi aapke upar koi niyantran nahi hoga.

Jab bhi aap koi lubhane wali wastu dekhenge, to aap uski taraf khinche chale jayenge.
Issiliye aankhon ko niyantran karna bohot jaroori hai.

भोजन
Aur tisri chij hai , jisse aapko niyantran karna hai, wah hai - Jihwa yani swaad.
Yadi aap bhojan ke shokin hai, adhik bhojan karna pasand karte hai, to maaf kijiye aap apne jeevan ko sundar aur kamiyab kabhi nahi bana payenge.

Kyunki bhojan ke liye kaha jata hai- Jo bhogi hoga wah rogi hoga. Yadi aap swad ke liye jaroorat se jyada bhojan karte hai to aapka sharir bimar aur aswastha jaroor hoga. Jaisa ki aaj ke logon ko dekha jata hai ki kam umar me hi sabke tond nikal aate hai aur phir unhe tarah -tarah ke rogon ka samna karna padta hai.


* To yah thi mujkhya tin chijen - Kaam Vikar, Dristi aur Jihwa.  Jiske bare me hamne jana.
Aur ab hm janenge ki inn 3 chijon ko niyantran kaise kare, control kaise kaise kare.

To Bhagwan Arjun se kehte hai ki indriyon ke wisay to sukh -dukh dene wale hai.
Yani iska matlab hai - Hame apni buddhi me bithana hoga ki jo indriyan hai yah satya nahi hai, sundar stri , acha bhojan dekhte hi uttejit ho jati hai, aur bhogne ko kehti hai.

Jabki yah to mere raaste ka kanta hai , jo mujhe apni lakshya ki aur badhne nahi deti hai. Yah to alpkaal ka sukh dekar sadakaal ka dukh de rahi hai. Yah satya nahi hai, Yah to jhoot hai. Yah to mere sath dhoka kar rahi hai.

Aur buddhi ko yah bhi samajhna hoga ki indriyon ke wisay to nitya , Yani hamesha nahi rehte , aane aur jane wale hai.

Yani jo chij aake turant chali jati hai,usko aap mahatwa kyu dete hai.
Jaise :- Swad ke liye bhojan khaya kuch second uska swad jibh me raha phir wah bhojan pet me chala gaya aur phir aapko lambe samay tak bimar bana diya.

Bhagwan yaha kehna chah rahe hai - Ki jo nitya hai , sadakaal ka sukh dene wala hai usko hame apne jeevan ka aadhar banana chahiye.



Jaise- 2 tarah ke mitra hote hai.
1) Matlab ka mitra hota hai.
2) Saccha mitra hota hai.

Matlab ka mitra , apni jaroorat puri karne ke baad aapko chor deta hai.

Wahin jo saccha mitra hota hai, wah aapko sadev sahayata karta hai. Aapke sukh-dukh me wah sadev aapke sath rehta hai. Aapke sath khada rehta hai.

Aise hi jo indriyon ka sukh hai wah dhokebaaj mitra hai, aapko dhokha de rahi hai.

Wahin jo kamiyabi ka sukh hai wah aapka saccha mitra hai kyunki wah sadakaal aapke sath  juda hua hai.

To mujhe pakka bharosa hai ki aap apne sath sada ache mitra ko hi rakhenge aur jeevan me kamiyab banenge .
Aur issi ke sath me apne sabdon ko wiram deta hoon. Aur ummid karta hoon ki aapko yah jankari jaroor pasand aayi hogi.

Yadi aapka koi sawal ya koi sujhaw hai to niche jaroor comment kare. Mujhe aapki madad karne me khushi hogi.

Aur iss post ko jaroor share kare taki aur logon ko bhi iske bare me maloom ho.
Aur aap hamare website www.anekroop.com ko E-mail ke dwara niche se subscribe kar sakte hai.
Isse me jab bhi nayi post likhunga to aapko jankari ho jayegi.

Aap niche se iss jankari ki video bhi dekh sakte hai jo aapko aur adhik prerit karegi.



Dhanyawad.....

Ye bhi Jane:-
*Pachtana Kyu Nahi Chahiye- Depression Ka Samadhan

*Sabhi Sawal Ka Jawab Apne Ander Paye

*Santust Kaise Rahe -Dusron Ko Santust Kare

*Lakshya Ko Pura Karne Ka Aasan Tarika

Share this

1 टिप्पणी


EmoticonEmoticon