Sandeep Maheshwari Ab Kya Naya Karne Jaa Rahe Hai ???

 Namaskar doston aapka anekroop me swagat hai. Iss post me hum Sandeep Maheshwari ke bare me janenge ki wah kya naya karne jaa rahe hai....Main aise post nahi likhta lakin aaj me likh raha hoon kyunki kayi baar aise logon ke bare me likhna chahiye jo aapko sahi raah dikhaye aur jo sabhi logon ke liye bhalayi ka kaam kare..... Aaplog to jante hoge Sandeep Maheshwari aur Vivek Bindra ke bich huwi controversy ke bare me ....

Lakin aapko yah jaan kar aur bhi aascharya hoga ki Sandeep Maheshwari ab kayi anya issues ke bare me bhi youth ko jagruk kar rahe hai....

Wah ab aise topic ko pakad rahe hain jo youth ko barbad kar raha hai ,, yaa jisse high level par fraud ka kaam chal raha hai...

Mujhe khushi hai ki ,,,desh me koi aisa bhi wyakti hai jo youth ko lekar serious hai aur usse sahi raah dikha raha hai...

Sandeep Maheshwari
image source : www.sandeepmaheshwari.com


EXAMPLE -1 

12th fail ek movie aayi thi ,,, jisme dikhaya gaya tha ki kaise ek ladka jo 12th fail rehta hai wah kadi mehnat se upsc ka exam clear kar leta hai.....Lakin uske dark side ko nahi dikhaya gaya ki ,,,,jin logon ka upsc clear nahi hota hai wah kaise depression me chale jaate hai aur unki life kaafi had tak kharab ho jaati hai... Kyunki upsc  ke padhayi se unhe koi bhi skill nahi milti aur naa hi uske basis par unhe kaam milta hai.....

UPSC me selection kewal 0.1 % logon ka hota hai....Baaki ke 99.9 % students berojgaar ho jaate hai aur phir chota mota kaam karna shuru kar dete hai....

Aise me country me high level par unskilled log ho jaate hai jisse desh me tarakki nahi ho paati hai...

Aur aise student apni bhi zindagi ko barbad kar dete hai....

Issiliye mujhe bohot khushi huyi ki aise topic par baat kiya jaa raha hai aur log samajhdaar ho rahe hai...

EXAMPLE - 2 

Kayi Coaching chalane waale bohot jyata fraud karte hai ,,,aapse saal bhar ka fee pahle hi le lete hai aur phir padhayi bohot hi kharab karate hai,,,aise me students phans jaate hai ...wah jab apne paise mangte hai to unhe diye nahi jaate .....diye bhi jaate hain to bohot kam .....isme unki paise aur time dono barbad ho jaate hai....

Issiliye coaching chalane wale se bach kar rahe ...Pahle pata kar le ki coaching chalane wale ki degree kya hai aur wahaan kitne bachon ka selection hoti hai....

Wah promotion ke liye selected bachon ko paise dekar unke tasveer ko apni Ads me lagate hai...Jo ki bohot hi galat hai....

Aise promotions lagbhag sabhi coaching institute karte hai...Main jab 11 th me tha tab bhi ye bohot chalta tha,,mera bhi 6 mahine aise hi barbad ho gaya tha.....Uss coaching institute ka naam tha Sigma Education....Padhayi to uski bohot bekaar ,,,teacher bhi time par class nahi lete the.....Aur fee pahle hi le liya jaata tha....To maine 6 mahine ke baad wah coaching chor diya tha...Isse mera base kamjor ho gaya tha...

Issiliye main aapse kehta hoon ki yadi aap 11 me hai to starting se hi aise coaching institute ko pakde to faltu ka advertisement nahi katta ho ,,, aur monthly fee leta ho,,,,aur unke bare me sabhi students ko jankari ho......

EXAMPLE 3 

MLM companiyan - Mere relation me ek wyakti hai jo networking se jude hai,,,,Pahle wah IMC me the ,,phir usko chor diye ,,,,phir Vestige me gaye ...usko bhi chor diye...aur ab wah kisi dusre company me jude hai...

MLM Companiyon ka moto rahta hai,,,bazaar se paise lena hai,,,5 se 10 logon ko crorepati banana hai aur phir saare paise lekar daba lena hai....

Iska model bohot simple rahta hai,,,Aap dusre logon ko jodiye ,,use company ke bare me bataiye,,,Wah judega phir wah dusron ko jodega,,,aise karte karte aapka graph badhte jayega...aur phir aapki payment bhi dheere dheere badhti jayegi...

Lakin dikkat isme yah aati hai ki product jo aapko market me 10 rupaye me mil jayenge ,,,,wahi product aapko inn companiyon me 50 rupaye me milegi....

Aur dusra dikkat yah hai ki ,,,companiyan kab bhagegi iska koi thikana nahi hai....Jab companiya bhagegi to aapke saare mehnat barbad ho jayenge...aur phir aapko starting se mehnat karni hogi...

Aisi companiyan dikhawe ke liye Cars ka istemaal karti hai....2-4 logon ko wah Car de deti hai....aur phir unko dekhkar bhole bhale log apne paise aur time invest karne lagte hai....

Aap samajh lijiye ki shortcut tarike se aap kabhi bhi kamyag nahi ho sakte,,,Yadi aapko success chahiye to pahle koi skill develop kijiye...

Chahe aap Writing kariye,,,Singing Kariye...Business Kariye...Yaa Phir koi technical degree lijiye jaise...B.tech,,,MBBS etc..

................................................................................................

To doston aaj ke liye itna hi...Mujhe ummid hai ki aapko yah post pasand aayi hogi...

Maine iss post me Sandeep Maheshwari jo kaam kar rahe hai ,,uske bare me bataya hai aur kuch apni bhi example diye hai...Mujhe ummid hai ki aapko yah jankari jaroor pasand aayi hogi...

Ispar aapki kya pratikriya hai hame comment me jaroor bataye....bohot bohot Dhanyawaad.....

......................................

Yah bhi jane :-

Share this


EmoticonEmoticon