Aatma Kya Hai-What is a Soul


Namaskar Doston aapka AnekRoop me swagat hai. Aaj hm baat karenge hamare bare me . Yani aatma ke bare me.

Aatma ke bare me to log hajaron salon se baat kar rahe hai aur janne ki kosish kar rahe hai, aur aaj hm  aatma ko samjhenge , isse mehsus karenge aur yah bhi janenge ki Bhagwat Geeta me aatma ke liye kya kaha gaya hai. Bhagwan Arjun ko aisa kya batate hai jo Arjun sabkuch bhulkar apna gandiv astra utha lete hai. Uske liye aage ka post dhyan purwak padhe doston.

aatma kya hai
aatma kya hai
.



आत्मा से जुड़े 5 रहस्य । 

Hm suruwat karenge 2/18 shlok se .

Iss shlok ka arth hai:- नित्य ,अविनाशी ,प्रत्यक्ष प्रमाण रहित शरीर धारण करता आत्मा के ये शरीर नाशवान कहे गए हैं , इसीलिए हे भारतवंशी !युद्ध कर।

Iss shloke me aatma ko nitya , avinashi , aur pratyaksh praman rahit bataya hai.
Yani aatma nitya hai, hamesha hai.
Aatma hamesha hai iska matlab hai ki wah janm aur maran ke chakra me aane wali hai. Aisa nahi ki aatma moksha ko prapt ho jaye aur janm - maran ke chakra me nahi aaye.
Nahi aisa nahi hai. Aatma to sadev nitya hai.


Avinashi- Yani jiska vinash naa ho sake. Yani aatma kabhi nahi marti, wahin aatma jo sharir dharan karti hai , wah vinash hota hai. Aatma avinashi hai.

Pratyaksh Praman Rahit- Yani aatma sharir me hai iska koi praman nahi de sakta , sabut nahi de sakta .

इस श्लोक में हमने एक रोचक बात जानी कि आत्मा को कभी मोक्ष नहीं मिलता , वह नित्य है। जबकि आज के साधु लोग समझते है कि आत्मा को मोक्ष मिलती है।  इसीलिए वे हिमालय के पर्वत में जाकर तप करते हैं। मुझे किसी से दुश्मनी नहीं लेकिन गीता के श्लोक तो यही कहते हैं।


2/19 Shlok ka arth hai

जो इस आत्मा को मारने वाला समझता है और जो इसे मरा हुआ मानता है ,वे दोनों ही ठीक नहीं जानते। यह आत्मा न मरता है न मारा जाता है।

Iske arth ko aur samajhne ki kosish karte hai , yadi koi wyakti kisi ki hatya kar deta hai aur samajhta hai ki maine isse maar diya ab main chain se rahunga to wah galat samajhta hai, kyunki aatma kabhi nahi marti wah dobara janm legi aur aapse aapke bure karmo ka hisab chukta karegi.
Aur jo wyakti aatma ko mara hua manta hai wah bhi thik nahi janta . Jaise hamare pariwar me kisi ki mrityu ho jati hai to hm rone lagte hai, aansu bahane lagte hai . Lakin Bhagwan yaha keh rahe hai ki aatma kabhi nahi marti wah phir se dobara janm le legi. Wah to aapke sath sirf kuch samay ke liye hi thi.
Yah padhe:- Sokh karna kyu nahi chahiye

2/20 Shlok ka arth hai- Yah ab tak ka sabse mahatwapurn shloke hai.

यह आत्मा न कभी जन्मता है , न मरता है अथवा होकर फिर से नहीं होगा। अजन्मा ,नित्य ,सनातन ,पुरातन। यह शरीर नाश होने पर भी नहीं मारा जाता।

Iss shloke ko padhkar to maza aa gaya . Iss shloke ke pehle 2 line ek adbhut jankari de rahi hai. Ki aatma naa kabhi janmta hai ,naa marta hai .Yani aatma ko janm dene wala koi nahi hai.Aatma ko banane wala koi nahi hai.Yani aatma ka koi pita nahi hai. Koi mata nahi hai.

यानि यह बात बिलकुल गलत साबित हो गयी कि भगवन ने आत्माओं को बनाया। क्योंकि आत्मा तो कभी बनता ही नहीं है।
जैसे मनुष्य पुराने वस्त्रों को त्यागकर दूसरे नए वस्त्रों को ग्रहण करता है , वैसे ही आत्मा पुराने शरीरों को छोड़कर दूसरे नए शरीरों को ग्रहण करता है।

Jaise:- Jab hamare kapde purane ho jate hai, tab hm unhe pehenna chor dete hai aur naye kapde kharidkar pehen lete hai, waise hi aatma bhi jab yah sharir purani ho jati hai yani budhapa aa jata hai,to aatma phir naya sharir le leta hai.

Lakin yaha ek majedaar baat samne aayi hai ki  Yahan bataya jaa raha hai ki jab sharir purana ho jata hai tab aatma usse chorkar naya sharir le leti hai .

Lakin aajkal log kam umra me hi mar jaa rahe hai, koi 10 saal , 20 saal me, 30 saal me , kabhi bhi koi mar jaa raha hai.

Yahan to sharir purana nahi ho raha to phir aatma sharir kyu chor rahi hai ? Kya aapke dimag me bhi ye baat aa rahi hai ki log kam umra me hi kyu mar jate hai?

Darahsal yahan par bhi sharir purana hi ho raha hai. Sochiye jab kisi ki maut hoti hai, tab kaise hoti hai, Jaise koi Cancer se mara . To jab usko Cancer hona chalu hua to uski sharir ki awastha kaisi honi chalu huyi, to  budhapa jaisa.

Yani uska sharir purane ke jaisa ho gaya , Issiliye aatma us sharir ko chor deti hai.

Ab aate hai apne antin 2 shlokon me .अदभुत

Ye bhi Jane:-

2/23 aur 2/24 Shloke.

इस आत्मा को शस्त्र नहीं काटते ,इसको अग्नि नहीं जलाती ,इसको पानी नहीं भिंगोता और हवा भी नहीं सूखती।

यह काटा नहीं जा सकता ,यह जलता नहीं ,भींगता नहीं और सूखता नहीं। यह नित्य सबकुछ पहुंचवाला है,सनातन ,स्थितशील और अचल है।



Inn dono shlokon ka saar yahi kehta hai ki aatma kisi bhi tarike se nahi marti.

Aur jo last ka line hai wah samajhne yogya hai ki aatma sab jagah pahunch wala hai. Iska matlab aatma me sochne ki shakti hai , Aisa nahi ki aatma sharir se nikalkar Delhi chali jaye aur phir sharir me wapas aa jaye. Nahi, wah apni soch se sab jagah jaa sakti hai , sab jagah pahunch sakti hai.



To ye thi aatma ke wishay me kuch mahatwapurn jankari. Aur me ummid karta hoon ki aapko yah jankari jaroor pasand aayi hogi.Yadi aapka koi sawal yaa koi sujhaw hai to hame niche comment karke jaroor bataye. Aur hame E-mail ke dwara niche se jaroor subsscribe kar le doston.

Dhanyawad.

ये भी जाने :-

Share this


EmoticonEmoticon