कामयाबी का रास्ता -Best Motivational Post


कामयाबी का रास्ता -Best Motivational Post

Namaskar doston, Aapka AnekRoop me swagat hai. Aaj hm aapko aisi jankari dene jaa rahe hai jisko jankar aap kamiyabi ke sidhiyon par chadhna chalu kar denge aur ek safal kamiyab insan ban jayenge.

Iske liye aap iss post ko aant tak jaroor padhe.

KAMIYAB
KAMIYAB
.



Aacharya Chanakya kehte hai ki jo kamiyab banna chahte hai to unhe apne jeevan me inn 6 baton ko dhyan me rakhna chahiye. Yani inn 6 baton ko hamesha yaad rakhna chahiye.

Jinme pehla hai.
यह समय कैसा है

Yani abhi wartamaan samay me hamare jeevan ki sthiti kaisi hai ? Hm sukh me hai ya dukh me hai? Yadi hm sukh me hai to hame kamiyabi ki taraf apna rasta badha dena chahiye aur yadi dukh me hai to pehle dukhon ka niwaran karna chahiye phir aage koi kadam badhana chahiye.

2 - हमारे मित्र कौन -कौन है

Aacharya Chanakya kehte hai ki jo kamiyab banna chahte hai to unme ek goon pradhan honi chahiye aur wah hai apne mitro ko pehchane ki .

Jo mitra ke bhes me satru hai usse pehchan sake aur apne sacche mitra ko bhi pehchan sake .Apne sacche mitra ki sahayta jaroori hai ,wahin satru ke wesh me jo mitra hai usse sahayta le liya to puri mehnat me pani fir sakta hai. Aise mitra kabhi nahi chahenge ki aap kamiyab bano aur jeevan me aage badho, issiliye aise mitro se saavdhan rahe.



3- यह देश कैसा है

Yani aap jahan par reh rahe hai wah sthan kaise hai. Kya uss sthan me rehkar aap kamiyabi hasil kar payenge?
Yaa aap jahan par kaam karte hai, wah sthan , wah sahar aur wahan ke halat kaise hai?  Jo aapke sath kaam karte hai wah log kaise hai?
Yadi aap inn sab  baton par gaur karenge to jaroor aap kamiyab insaan banenge.

Yah Bhi Jane-

*Mrityu Ke Baad Aatma Kahan Jati Hai

*Indriyon Ko Control Kare-Bhagwat Geeta

4. हमारी आय और व्यय की सही जानकारी

Yani hamari kamayi kitni hai aur hamara kharch kitna hai. Samajhdar wyakti wahi hai jo apni kamayi aur kharch ka pura hisab rakhta ho.

Aur Aacharya Chanakya kehte hai ki wyakti ko apne kamayi ke anusar hi kharch karna chahiye. Aur yadi koi apni kamayi se jyada kharch karta hai to wah ek din musibat me jaroor pad jata hai.

Issiliye jo dhan ka sukh chahte hai unhe apni kamayi se adhik kharch nahi karna chahiye.
Aur jo apni kamayi se kam kharch karte hai to thoda hi sahi lakin dhan sanchay ho sakta hai.

5. मैं किसके अधीन हूँ 

Yani hm kahan bhi karya kar rahi hai , karyalaya , Company me to wahan ka malik hmse kya chahta hai. Wah karyalaya hmse kya chahti hai. Aur hm sadev ussi ke anusar kaam kare taki karyalaya ka labh ho sake.

Yadi karyalaya ka labh hota hai to karmchariyon ka bhi labh milne ki ummid badh jati hai.

Aur iska dusra arth samne aata hai ki yadi hm kamiyab banna chahte hai aur koi aisi chij hai jo hame kamiyab nahi banne de rahi hai to wah kya hai?

Yadi koi chij aapke raste ka kanta ban rahi hai , to sabse pehle aap uss kante ko apne raste se hataye.

Kyunki kisi ke adhin rehne wala kabhi adhikari nahi ban sakta .

6- मुझमे कितनी शक्ति है

Yah baat bohot hi mahatwapurn hai . Hame apne ander ki himmat ke bare me malum hona chahiye . Hame yah malum hona chahiye ki hm kya- kya kar sakte hai. Wahi kaam hath me lena chahiye , jisse pura karne ka samarth hamare paas ho.

Yadi shakti se adhik kaam hm apne hath me le lenge to asafal hona tay hai . Aur aisi paristhiti me karya sthal aur samaj me hamari chabi par bura asar padega.

To yah thi 6 baatein .
 Jisse aap apne jeevan me layenge aur apne jeevan me dharan karenge to jaroor aap kamiyab banenge.

Aur ab main aapse alvida leta hoon aur asha karta hoon ki aapko yah jankari pasand aayi hogi.
Yadi aapka koi sawal ya koi sujhaw hai to niche jaroor comment karke hame bataye .
Aur hamare is post ko share kare . Aur E-mail ke dwara niche se iss website ko jaroor subscribe kar le doston.

Dhanyawad.

Yah bhi jane:-
*Lakshya Ko Pura Karne Ka Aasan Tarika

*Mann Ko Control Kare Apne Lakshya ko pura Kare

*Depression in Hindi , Sokh Karna Geeta.

*Apne ander Himmat Kaise Laye

Share this


EmoticonEmoticon