Mann Ko Control Kare-Apne Lakshya Ko Pura Kare


Negative sochne ka rasta band kar do , to safalta swaroop ban jayenge.



Ab iss thought ko thoda wistar se samajhte hai. Negative se yaha matlab hai-
Jab hm apne mann me aisi dharna ko janm dete hai, jo hame kehti hai, Aare aap to iske layak nahi hai, Aap yah kaam mat kijiye.
Ya aap ye kaam kyu kar rahe hai? Tab hm uss kaam ko karne se piche hatne lagte hai. Mera kehne ka matlab hai, hm apne aap ko kamjor samajhne lagte hai.



Example:-

1. Koi average ladka 1st aana chahta ho, aur kahe , Aare me to English me kamjor hoon , me 1st kaise aa sakta hoon.
2. Koi Doctor banna chahta ho, aur padhte samay kahe, Aare ye to bohot boaring hai.

3. Koi Cricketer banna chahta ho, aur khelne me bhi aacha ho, aur ye soch kar naa banna chahta ho, ki waha bohot competition hai.

Ab aapko Main jo kehne wala hoon ,usse thoda dhyan se padhiye. Ye pehle aapne naa kahi padhi hogi aur naa hi kahi suna hoga.

Wastav me ye kehne wala , ki aap kamjor hai, ye koi aur nahi balki aapka hi Mann hai.

Yah to aap jante hi honge ki Mann ka kaam hai sochna, wah 24 ghante kucch na kucch sochte hi rehti hai.
Aur jab aap apna kaam kar rahe hote hai, Aur halka sa bhi aapka dhyan aapke kaam se hat-ta hai, to phir mann sochna suru kar deti hai.

Wastav me ye hamare ander ,jo khayalat (baat) aati hai, ki yah kaam bohot boaring hai,ya ab ye kaam hamse nahi hoga.
Uska mukhya karan hai, kaam karte samay, apne Mann ko khula chor dena, Jiske chalte wah dusre-dusre chijon ke bare me sochne lagti hai. Jiske chalte hm apne kaam ke upar pura -pura dhyan nahi de pate.
Aur apne kaam ke upar pura dhyan naa dene ke karan hm thak jate hai,boriyat mehsus karne lagte hai, aur phir last me keh dete hai-Ab ye kaam mujhse nahi hoga.

APNE MANN KO CONTROL KAISE KARE



Aap chahe kisi bhi field me ho, Chahe doctor,engineer ,cricketer ya kucch bhi banna chahte ho.
Yadi aapne apne Mann ke upar Control kar liya hai. To duniya ka koi aisa chij nahi hai-jo aap nahi kar sakte.
"Hamare Shastra me kaha gaya hai-Mann jite jagat-jit". 
Iska sidha saa matlab hai- Jisne apne Mann ko control kar liya (jit liya) to wah puri duniya ko jit sakta hai.

MANN KO CONTROL KARNE KA TARIKA

Mann ko control karne ka ek hi tarika hai, aur wo hai Meditation.

Dhanyawad..

Ye bhi jane
*Mrityu Ke Baad Aatma Kahan Jati Hai

*Indriyon Ko Control Kare -Aasan Tarika

*Kamiyabi Ka Raasta- Best Motivational Post

*Generation Gap- Wicharon Me Antar

Share this


EmoticonEmoticon