Facebook par farji profile banakar photo ka galat istemaal karna ,online picha karna, aur dhamkiya dene ke mamle teji se badh rahi hai. Ek survey ke mutabik Bharat me online utpidan ke sikar 46% logon ne swikar kiya hai. Unhe dar ki wajah se apna social media ka account band karna pada.
Aise me Internet par kuch baton ka dhyan rakhkar online pareshaniyon se bacha jaa sakta hai.
Ye bhi jane:-
*Mobile Battery charge karne ka sahi tarika
*Mobile App se music banaye tune kare
![]() |
online complain |
ONLINE CHAWI KHARAB HONE SE BACHE
*Kai baar anjan blog ,website ya webpage par chawi kharab karne ke maksad se aapke bare me galat jaankari ya photo upload kiye jaa sakte hai. Aise me koi aapke bare me Google par search karega to yahi parinaam dikhai de sakte hai ,jo mansik tanaw bhi de sakte hai.
*Google me apne bare me aise hi kisi tanaw ko rokne ke liye google.com/webmasters/tools/spamreport par jaye .
![]() |
online report google form |
![]() |
online pareshani par complain kare |
STEP-2. Chawi kharab hone ki wajah likhe.
STEP-3 Yaha likh kar de sakte hai ki website kis tarah aapki chawi kharab kar rahi hai.
STEP-4. Report webspam par click kar de.
Google iski janch karne ke baad Search Result ko hata degi.
Facebook ya Twitter par koi wyakti aapko dhamki ya galat message bhejta hai to uska screenshot save kar le, (Screen shot lene wala app 2.41 mb) taki bhawishya me iska praman ke taur par istemaal kar paye .
Iske baad uss wyakti ke account ko report kare, Kisi ne farji account bana liya hai to report kar sakte hain.
1. Farji account ke profile me jaye.
2.Yaha message ke dahine taraf diye option par click kare.
3. Iske baad report account par jaye.
Yaha aap bata sakte hai ki aapke naam se koi farji account chala raha hai.
Facebook janch karne ke baad account ko delete kar degi.
* Issi tarah Google+ ,aur Twitter me bhi har profile aur post ke samne report ka option rehta hai.
*Online pareshani ki sikayat Police Station me bhi darj karayi jaa sakti hai.
Ye bhi jane :-
*Mobile se deleted no. ki recovery kaise kare
*Pradhan mantri mudra yojana in hindi
*Sardi aur khansi ko kaise thik kare ayurveda
*Ling ki kamjori ka ilaj shakti kaise badhaye ayurveda
Dear
ReplyDeleteTeam google
Please aap se request h ke jab m Google pr koi website kholta hu to yha 2 website ke jankar ie milne start ho jati h example m
Jab m snapdeal ke website kholta hu to mujh snapdeal se yadd Amazon ke products dekhne lgte h es liye aap se nivedan h ke aap apni yha galtie pr dhyan de ur costumr ko right details de
Wish a good luck